Dropbox Kya hai aur Dropbox Kaise Use Kare? hindi me
Dropbox Kya hai aur Dropbox Kaise Use Kare? hindi me
Dropbox Kya hai aur Dropbox Kaise Use Kare? hindi me
|
internet ka teji se estemal hone ke karan dheere dheere duniya men aisi aisi service chalu ho gayi hai ki agar aap sahi se uska estemal kar lenge to aapki digital life bahut hi asan ho jayegi aur aise men aap Dropbox ka name jarur sune honge aur uske bad dimag men jarur aata hoga ki aakhir ye kya hai aur esko kaise apne phayade ke lia aap estemal kar sakte hai ? agar aap ye janna chahte hai to aap ekadam sahi jagah aaye hai kyoki aaj aapko es post men puri jankari dunga |
aap es post men janenge ki :
●Dropbox kya hai
●Dropbox kaise use kare
●Dropbox ka key feature kya kya hai
●Dropbox free space limit kitna hai.
Dropbox Kya hai?
dropbox ek file hosting service hai jo ki ek amerikan campny jiska nam bhi Dropbox hi hai uske dvara chalaya ja raha hai |
doston, esko aap aasani se samajh sakte hai , jaise ki man lijiye ki aapke pas kuchh dijital file hogaa jaise ki koi picture ya koi songs hi hoga ya kisi bhi tarah ka file hoga to usko ek jagah se dusre jagah le jane ke lia aap pen drive ka estemaal karte honge, hai n ?
lekin sochiye ki aapke pas pen drive n ho ya kabhi kahi gir jaye ya kho jaye to ? aise men apka vo file to gayab ho jayega ya aap kahi gaye aur aap pen drive lana bhul gaye aise men aap apne pasandida file ko kaise khol payenge ?
ek aur baat ki, agar kisi document par aap koi office kaa kaam kar rahe hai lekin jaise office men eksaalth bahut log rahte hai aur file sheyar kar-kar ke kaam ko complete karte hai to aise men aap office se dur rah kar kaise karenge ? kyoki dur rahne par ek bar men ek aadmi hi usme changing yaa editing kar sakta hai esalia aapko sheyaring vaali feature ki jarurat pdegi aur ye kaam aap dropbox men aasani se kar sakte hai |
aap dropbox ko aise samajh sakte hai ki , ye ek tarah kaa online jagah hai jahaan par aap jitnaa man hai utnaa file ko aap rakh sakte hai aur us file par siph aur sirph aapkaa hi control hogaa |
kyoki jab aap dropbox par account banaayenge to aapke paas password hogaa aur phir aap jo bhi file ko dropbox par upload karenge to usme aap jo chaahe vo kar sakte hai |
jaise ki koi file hai aur aap chahte hai ki usko aapka dost bhi dekhe aur sath hi sath vo usme changing bhi kar sakte to aap usko sheyar kar sakte hai |
sabse majedar feature ye laga ki aap apne file ko sheyar karte samay usme temporary password bhi set kar sakte hai aur usme time limit set kar denge to us time ke bad apne aap sab kuchh normal ho jayega
eska matalab ye hua ki agar aap sirph 1 ghanta ke lia kisi ko koi file sheyar karenge to vo aadmi 1 ghantaa ke baad aapke file ko access nahi kar payega |
chalia ab jante hai ki
Dropbox kaise use kare
agar aap dropbox estemal karna chahte hai to aap esko kahi bhi estemaal kar sakte hai matalab ye hua ki aap ese apne computer yaa mobile ya tablet ya koi bhi device ho uspe estemal kar sakte hai kyoki sabhi device ke lia eska software available hai |
etna hi nahi aap esko direct web browser se bhi use kar sakte hai |
sabse pahle aapko dropbox par account banana hoga aur eske bad jab account create ho jaayega phir aap esko estemal kar sakte hai, jaise ki agar aap dropbox ko android ke lia use karna chahte hai to eska apps play store par available hai |
aap jab Dropbox men login karenge to aapko upload ka option ayega
aap Dropbox par file ko upload karenge eske baad jis device men entarnet hai usse aap direct access kar sakte hai aur es tarah se aap ekadam aajadi se kisi bhi file ko kahi bhi access kar sakte hai |
chalia ab aap jab etnaa sab kuchh jaan gaye to kuchh eskaa Limitation bhi hai uske baare men jaan lijiye
jaisa ki aap jante hai ki etni bdi company hai aur aapko space deti hai file ko rakhne ke lia to aise men aap sochte honge ki kyaa Dropbox free hai ya paid hai ? to aap jan lijiye ki ye fee bhi hai aur paid bhi hai jise premium service bhi kahte hai |
free dropbox account men aur premium account men bahut kuchh antar hai jaise ki aapko free vaalaa account men basic feature hi milegi lekin premium men aapko jyada space ke sath sath sare feature bhi milenge |
Dropbox free space limit
agar aap Dropbox kaa free account estemaal karenge to aapko free space sirph aur sirph 2GB hi milegaa lekin aap chaahenge to eske baad bhi free men space limit bdhaa sakte hai , kaise?
eske lia aapko Dropbox ka referral program join karnaa hogaa Download Dropbox Here
to doston ab to aap samajh gaye honge ki Dropbox Kya hai aur Dropbox Kaise Use Kare?