How enable two factor authentication facebook
Hello friends swagat hai apka hamare blog me aaj ke article me ham log bat karenge kaise ham log two factor authentication facebook enable kar ke apne facebook data ko surakshit rak sakte abhi hal hi me ye suchna ayi hai ki lagbhag 5 corod facebook user ke data chori ho gye hai.
Yah bahut jaruri hai ki apne data ko chori hone se kuch na kuch jaruri kadam uthaya jay
Facebook pe two authentication ko enable kar ke aap apne data ko surakshit rakh sakte hai. Two authentication ke trow apne fb ki security level ko badaya ja sakta hai.
Two factor authentication enable karne se apke account ke hack hone ki sambhawana ekamatr na ke barabar ho jati hai yaha ham apko batane wale hai two factor authentication ko enable kaise kare.
two factor authentication ko enable karne ke liye niche diye gye step ko follow Kare..
1) sabse pahle apne facebook account ko login kariye
2) settings me jakar usme upar
Right side pe inverted traingal par click kare.
3)ab security and login par click kare.
4) security and login options pe change password login with profile picture jaise option milenge thik unke niche apko two authentication ka option milega.
5) iske bad two authentication par click kare.
Ab apke pas two authentication on karne ke do tarike hai
Pahla option hai aap text msg se on kar sakte hai
Iske alaba aap google authentication ya deo mobile app ka use karke kar sakte hai.
Text message ki madat se
1) jab aap text message bikalp option ko chunte hai yo apke mobile pe 6 anko ka code ata hai fir usko verify karne ke liye apko usko inter karne ke liye kaha jata hai.
2) apne phone me mile us code ko inter kare.
3) iske bad apke pass ek msg ayega ki apne two factor aunthication on kar diya hai.
Kisi aunthication app ki madat se
1)agar apne mobile number nhi registered kiya hai ya fir aap text msg enable nhi karna chahte to aap koi two aunthication app ko install kar sakte hai.
2)ab screen par dikh rhe Qr code ko scan Kare ya fir aap apne app par dikh rhe aunthication code ko inter kare.
3.) Iske bad apke app par apko ek nya code milega code mage jane par us code ko dale
Ab apka two authentication chalu ho gya hai.